Sunday, July 12, 2015

badi mushkil m khudko paya h aaj.

Badi mushkil mein khudko paaya h aaj.Fir se dil lagaya h aaj.

Kaha tha khudko rahunga door pyar se.
Fir kisi ko apna banaya h aaj.
Na chahunga kisi ko kabhi aisa socha tha maine.
Khud ko jhuta banaya h aaj.

Badi mushkil mein khudko paaaya h aaj.
Fir se dil lagaya h aaj.

Dekhi h jhalak ek uski par usi jhalak pe dil ko gavaya h aaj.
Socha samjhau dil ko apne k na kr pyar unse, par khudko besahara paaya h aaj.
Dil ko smjha paaya na main khud ko dil se haara paaya h aaj.

Badi mushkil mein khudko paaya h aaj.
Fir se dil lagaya h aaj.

Badi chalakiyo se hui mulaqat in dino.uski masumiat se khud ko bacha na paaya main aaj.
Daga khane se purane rishta h mera. Uski adao ne sab kuch bhulaya h aaj.
Ek pyari c muskan h uski jisne zakhmo pe marham lagaya h aaj.
Ladayia to hue hain hazaar meri iske ladayio mein bhi pyaar paaya h aaj.

Badi muskhkil mein khudko paaya h aaj.
Fir se dil lagay h aaj.

Kehte hain log mjhe tu pyar k kabil nhn iski mohabbat ne kabil banaya h aaj.
Keh sakunga main bhi k pyar ho sakta h mjhe. is vishwas ko usne jagaya h aaj.
Badnamio se rishta purana h apna iski sachhai ne ye daag mitaya h aaj.
Dil to tha mera pehle bhi dil. Usne Dil ko jannat banaya h aaj.

Badi mushkil mein khudko paaya h aaj.
Fir se dil lagaya h aaj.

Ab pyar se na bhagunga main pyar ko bht khubsurat paaya h aaj.
Dil ko bola beta tik ja yahi dil ko ye samjhaya h aaj.
Kho jana chahta hu pyaar mein uske badi muddat mein khud ko paaya h aaj.
Saalo mein dekha na aisa khud ko jaisa khudko banaya h aaj.

Badi Mushkil Mein Khudko Paaya h aaj.
Fir se dil Lagaya h aaj.

Wednesday, May 7, 2014

Hua m nakaam ek aur pyar ki kahani m

Hua m nakaam ek aur pyar ki kahani m
Aaj bhi akela reh gya bhari m jawani m

Wait krati thi mjhe kehke abhi aayi jaani m
M tha ban baitha aashiq uske bina to roti nhn khani m

Thoos k aati thi ice cream khud to dosto k saath giani m
Mann m sochti hogi fuddu to ye h ghani hu sayani m.

Chhota sa hu aashiq doobe bade bade pyar ki rawani m
Dard bhari daasta jo beeti mere upar aaj sunani apni zubani m

Dosto gar pyar hota kisi ka sachha to kahani aise na sunani m.
Kambakht ye dil the hi kamina jo chad gya sooli us naadani m.


Ab to soch liya chad jaunga himalaya par ladki nhn patani m.
Usne to maar hi diya tha duba k chullu bhar paani m

Maa

Maa tere pyar mein ye kaisi kami h 
Tujhe ye bhi na dikha aaj meri meri aankh mein nami h 
Gira to bht baar main bachpan mein. 
Fir ye chhoti c chot jawani mein kyu zakhm bani h. 
Pyar to tujhse main bhi karta hu mere bhai jitna. 
Fir kyu tere mann mein sirf usi ki tasveer bani h. 
Pehla lafz to mere muh se bhi maa hi nikla tha. 
Fir kyu lagta h tu sirf usi ki janni h. 
Maa tere pyar mein ye kaisi kami h 
Tujhe ye bhi na dikha aaj meri aankh meri aankh mein nami h 
Tere haatho ka khana to maine bhi khaya h. 
Fir kyu tera pyar bhai k hi hisse mein aaya h. 
Tere aanchal ko tapti dhup mein chhav sa paaya h 
Fir kyu us thandak ka ehsaas 
Sirf bhai ko hi aaya h 
Chot to lagi mjhe bhi hazaro baar fir kyu har baar sirf usi k zakhmo p marham lagaya h 
Bhukh to mjhe bhi lagi thi tere pyar ki Fir kyu sirf usi ko apne haatho se khilaya h. 
Tu dekhti ni par tere pairo k paas ek beta aur bhi baitha hota h.
Jo aankho se to ni par dil se rota h
Sawaal sirf ek hi poochna chahta hu tujhse ye mera bhram h ya maa ka pyar bhi kabhi kam hota h. 
Tera pyar kam h kyu k main laayak nhn tere pyar k ya Sirf isliye k bhai chhota h. 
Maa tere pyaar mein bhi mera dil rota h. 
Kaash tu samajhti k tera ek aur beta h. 
Maa tere pyaar mein ye kaisi kami h. 
Tujhe ye bhi na dikha meri aankh mein nami h

Friday, November 25, 2011

, , , ,

Bachpan


Na bhala budhapa na jawani,
kuch bhala to wo bachpan ki nadani,
na tha koi gham, na shikwa na thi koi pareshani,
kuch tha to bas wo mummy ka pyar aur papa ki wo kahani,
wo bhuto se darne ka alag tha maza,
shararat karne par har baar milna ko anokhi si saza,
khelne kudne mein nikalta tha din,
aur raat ko na sona mummy ki lori ke bin,
wo taaro ko dekhkar hi khush ho jaana,
aur chand ko dekhte dekhte hi so jana,
wo mitti mein lot pot ho jana,
aur 5,5 din bina tension ke na nahana,
na the paise zaruri aur na hi duniadari,
kuch tha to bas papa ki peeth ki sawari,
diwali ke bomb aur holi ki pichkari,
sab tyoharo pe jeena wo khushiya saari,
har cheez lagti thi na jane kyu itni pyari,
ek cheez na milne par bana lena wo shaklein itni saari,
na tha school, na colledge na thi tension itni bhari,
bas khane khelne mein din aur sone mein nikalna raat saari,
jane kyu yaad aate hain wo din,
shayad asli zindagi wahi thi hamari.........

Pages

Powered by Blogger.

Popular Posts

Followers

About Me

My photo
Born on 10th March 1988, In India.