Na bhala budhapa na jawani,
kuch bhala to wo bachpan ki nadani,
na tha koi gham, na shikwa na thi koi pareshani,
kuch tha to bas wo mummy ka pyar aur papa ki wo kahani,
wo bhuto se darne ka alag tha maza,
shararat karne par har baar milna ko anokhi si saza,
khelne kudne mein nikalta tha din,
aur raat ko na sona mummy ki lori ke bin,
wo taaro ko dekhkar hi khush ho jaana,
aur chand ko dekhte dekhte hi so jana,
wo mitti mein lot pot ho jana,
aur 5,5 din bina tension ke na nahana,
na the paise zaruri aur na hi duniadari,
kuch tha to bas papa ki peeth ki sawari,
diwali ke bomb aur holi ki pichkari,
sab tyoharo pe jeena wo khushiya saari,
har cheez lagti thi na jane kyu itni pyari,
ek cheez na milne par bana lena wo shaklein itni saari,
na tha school, na colledge na thi tension itni bhari,
bas khane khelne mein din aur sone mein nikalna raat saari,
jane kyu yaad aate hain wo din,
shayad asli zindagi wahi thi hamari.........
0 comments:
Post a Comment